woh tanha thi... main tanha tha...

~¤Akash¤~

Prime VIP
ek raah per saari umr chale
ek dooje ko na samajh sake

jeevan ka safar anjaan safar
be_khwaahish be_aaraam safar

jeevan ke kisi bhi dukh sukh main
woh mere saath shareek nahin

hum dono main ek rishta hai
per jazbon ki tehreek nahin

jaari hai, magar anjaan safar
main sochta hoon ek din yunhi

woh mujh se juda ho jayegi
ya pehle main mar jaaunga

ya shayad woh mar jayegi
phir log kahenge inka

yeh rishta kitna saccha tha
per kis ko khabar, sara jeevan

woh tanha thi...
main tanha tha...
 
Top