Woh lamhe jo san 47 mein j tham se gaye the k

satvir62

Member
Woh lamhe jo san 47 mein tham se gaye the kabhi………

Kuch dadkane hain jo un unkahe lamhon par karz hai meri, abtalak,
Us san 47 mein tham gaen theen jo, ek waqfe se mere zahan mein,
phir yaad kar leta hua waqt bewaqt unko ,apne tanhaenyon mein aksar
zindagi se ban jata hai phir chand lamhon ke liye rishta mera

Ek bulhe abba ki tote hua anek ka sheesha jo rai gaya tha marmat ki liye chandni chowk ke us nuked ki
band dukhan mein,
ek tooti hai katori ki ankahi zuban se bayan ho rahi thi , kahla ki us samiyaon ki kushboo ki daad
ek chapal jo khahi palhi thi, , kisi benaam churahe par doond rahi thi apne whah hone ki wajah
, bijli ke khambe pe phasi ek bebas kati patang ki taranh, jo tooktaki laga dekh rahi thi is hawainayt ke toofan ko, na chahte huay bhi

chaupal par abhi bhi lagi thi ek adhuri shatrang , abne goongepan pe apsos kar rahi thi is bar
is sal sardi mein hua kuch ehsaas mukhtalif sa yar mujhe,
uski ghermoojodgi , kar raha thain har sard rat ke un lamhon ko nihayat hi tanha

galli ke nahne doond rahe us ek jadooi asks ko jo khushiyan becch raha tha kabhi paisa do paise
aaj bi miyanji ki band pan ki dukan pe rahta hai ek udhar ,
jo chukana hai baki mera
is thal mein parhi ek rakhi , kyon thi itni wyakul ,
intezar kar rahi darwaze par us dastak ka
chhutki ki sagai ki chuni ek maile libaas mein chhupa di thi ammi ne ,us purane sandook mein sajakar, purani haweli ki mayani mein

ek nigoda kalam apni berozgari ka dawa kar raha tha us kusk panne par parha,
un dadkanon ki ehsaas mein doobi sayi ki pyaas kya aitraz jata raha tha shayad usse ,
guzar hoi rahi thi ye zindagi, apne mukamil hone ki galatfami mein meri
jab kabhi mazi ke in lamhon ka ehsaas hua , apni dhadkanon ki gehrayon mein,
ashk ban kar bahne lage ye jazbat mere.
 
Top