wo..... zil-lihaaz shakhs........

~¤Akash¤~

Prime VIP
uljhaav..... kaa mazaa bhi ......teri .....baat hi mein thaa;
teraa jawaab...... tere........ sawaalaat hi mein thaa.

saayaa...... kisi yaqeen kaa bhi ......jis par...... na pad sakaa;
wo ghar bhi...... shahr-e-dil ke...... muzaafaat hi mein thaa.

ilzaam kyaa hai .......ye bhi na jaanaa......... tamaam umr;
mulzim...... tamaam umr....... hawaalaat hi mein thaa.

ab to....... faqat..... badan ki muravvat hai....... darmiyaan;
thaa rabt...... jaan-o-dil kaa .....to..... shuruaat hi mein thaa.

mujhko to........ qatl karke......... manaataa rahaa hai..... jashn;
wo..... zil-lihaaz shakhs........ meri.... zaat hi mein thaa..........

AZEEZ QAISI
muzaafaat=nearby;
faqat=only;
rabt=relation;
zil-lihaaz=lihaaz ke kaabil;
zaat=existence
 
Top