wo shakhs...... jaise..... kisi aur..... aasmaan kaa thaa...

~¤Akash¤~

Prime VIP
wo teer.... chhodaa huaa to..... usi kamaan kaa thaa;
agarche......... haath..... kisi aur meharbaan kaa thaa.

guzar rahaa thaa...... wo lamhaa .....jo.... darmiyaan kaa thaa;
magar......... ye waqt....... bade sakht imtihaan kaa thaa.

pataa nahin.... ki... judaa ho ke........ kaise zindaa rahe;
hamaaraa uskaa ta-alluq...... to........ jism-o-jaan kaa thaa.

hawaa to...... chalti hi rahti hai .....is samandar mein;
kasoor koi..... agar thaa .....to...... baadwaan kaa thaa.

wahi kahaani..... kabhi jhooth thi.... kabhi sach thi;
zaraa saa .......farq agar thaa.... to...... bas bayaan kaa thaa.

qadam qadam pe...... naye....... manzaron ki hairat thi;
teri gali kaa safar thaa ......ki..... ik jahaan kaa thaa.

hum..... apne naam ke hisse ko...... dhoondhte bhi kahaan;
zameen ke paas to..... jo kuchh thaa .....aasmaan kaa thaa.

kahin ......zameen pe ......saani nahin milaa .......uskaa;
wo shakhs...... jaise..... kisi aur..... aasmaan kaa thaa........

MANZOOR HAASHMI
 
Top