Wo mausam,wo fizaa,wohi waadiyaan..

Vishal.Sharma

Dard Bhara Dil
Wo mausam,wo fizaa,wohi waadiyaan...
Kyon ye bahaar ab raas aati nahi...

Kaise guzaaroon zindaagi tere bin...
Maut v keemat wasoole bina aati nahi...

Jabse hua hai door wo mujhse...
Kyon ye nazrein ab uth'ti nahi...

Jab v zikr hota hai mehfil me tera...
Kyon in aankhon se nami jaati nahi...

Jal rahe hain hum kab se kab talak...
Na raakh..koi dhuaan baaz aati nahi...

Zhakhm de jaati hain kaliyaan bhi...
Dua bhi dard ko dawa ab deti nahi...

Na manzil,na raasta..koi humsafar raha...
Ab to kadmon k nishaan bhi baaki nahi...

Falak tak ka faasla zamiin se baaki hai...
Tere bin ab yahan koi cheez meri rahi nahi...!!
 
Top