warnaa.... jo dekhegaa usko..... dekhtaa rah jaayegaa.....

~¤Akash¤~

Prime VIP
shaakh par..... gar.... ek bhi pattaa..... haraa rah jaayegaa;
har shajar mein .....zindgi kaa....... hauslaa rah jaayegaa.

raushni ko bhi ......chiraagon ki zaroorat hai..... bahut;
ik agar bujh bhi gayaa..... to.... doosraa rah jaayegaa.

raah kaa pahlaa kadam..... ik jast hai..... manzil ki samt;
fir to bas..... ik do kadam kaa...... faaslaa rah jaayegaa.

aakhirash maidaan mein .........ik roz...... uske saamne;
ek main .....aur ek bas .......meraa khudaa rah jaayegaa.


kisne sochaa thaa .......ta-alluq...... tootne ke baad bhi;
us se..... utnaa hi kareebi ......waastaa rah jaayegaa.

wo to kahiye..... aankh mein..... itni basaarat hi nahin;
warnaa.... jo dekhegaa usko..... dekhtaa rah jaayegaa.....

MANZOOR HAASHMI
jast=uchhaal
 
Top