waqte-qurbat me wajhe-adawat unhi se sau-baar karna.

~¤Akash¤~

Prime VIP
Gar faislaa hi nahi daastan bazaare- samaa-at karna, Chain se sone waalon fir kyaa
tumhe bedaar karna. Raahe-ulfat ke khaar paae-nazuk
me naa chubh jaaen,
Ab tumhi kuch phool uske raste me
aye zardaar karna. Is dil ne bhi aakhir jaan liya
iqraare-wafa ka taqaaza,
kyaa zarurat hai tujhe,vaada-
khilaafi har-baar karna. Hoon Bismil to kya,faqat ye mohlat mujhe maut se mile,
pahochu wahan to jeeta rahun,itni
dua mere yaar karna. mujhe marne bhi nahi deta hai uska
vaada laut aane ka, dile-afsurdah gar tham jaae to,hawaale-chargaar karna. ye kya "shaad" dile-pareeshan ko
aur izterab me rakhna, waqte-qurbat me wajhe-adawat unhi se sau-baar karna.
 
Top