Waqt katta hay mera sham ky baad

~¤Akash¤~

Prime VIP
Is tarh dil na dukha sham ky baad
Yad itna bhi na aa sham ky baad

Yad kch bhi nahin rehta mujh ko
Teri ankhon ky siwa sham ky baad

Meri ankhon men uter aati hay
Tery chehry ki zia sham ky baad

Phail jati hay mery chehry par
Teri palkon ki rida sham ky baad

Dil ky akash pe cha jati hay
Teri yadon ki ghata sham ky baad

Teri sochon men teri yadon men
Waqt katta hay mera sham ky baad
 
Top