Voh teri khamosh nazar ke aashiq nahi, Waha toh kafilaa hai

~¤Akash¤~

Prime VIP
Voh teri khamosh nazar ke aashiq nahi,
Waha toh kafilaa hai teri haar ka.
Sukriya kar ush mukammal khuda ka,
Jeeta toh voh jo hai farista parvrdigaar ka.

Voh jo baha rahe hai askon me lahu,
Voh toh karisma hai ek vaar ka.
Khanjar aur bhi hai khoon se sanne,
Ye toh tohfa hai kisi ke pyar ka.

Je sake toh jee le ye lamhe khushi ke,
Fir na mukarrar hoga ye mausam bahar ka.
Jab sookhe ragon ka lahu aur ansu aankho me,
Tab he suru hoga qatil safar intezaar ka.

Ban chuke hai nasoor ab jhakham dil ke,
Ab intezaar na kar kisi ke dulaar ka.
Dil lena aur khel ke tod dena,
Dastoor yahi hai is vehsi bazaar ka.

Karke khushiya kurbaan apni jin khwahiso ko sajaya,
Dekh zalim ne kya sila diya tere iqraar ka.
Chhod de ye aabo-hawa ke haseen afsane,
Aur ban dhuva kisi sukoon se jalti mazaar ka...
 
Top