vo ko_ii aur na thaa

vo ko_ii aur na thaa chand Khushk patte the
shajar se TuuT ke jo fasl-e-gul pe roye the


abhii abhii tumhen sochaa to kuchh na yaad aayaa
abhii abhii to ham ek-duusare se bichhaDe the

tumhaare baad chaman par jab ik nazar Daalii
kalii kalii mein KhizaaN ke chiraaG jalate the

tamaam umr vafaa ke gunaah_gaar rahe
ye aur baat ki ham aadamii to achchhe the

shab-e-Khaamosh ko tanhaa_ii ne zabaaN de dii
pahaaD guuNjate the dasht san_sanaate the


vo ek baar mare jin ko thaa hayaat se pyaar
jo zindagii se gurezaaN the roz marate the


naye Khayaal ab aate hain Dhal ke zahan mein
hamaare dil mein kabhii khet lah_lahaate the


ye iratiqaa kaa chalan hai ki har zamaane mein
puraane log naye aadamii se Darate the


'Nadeem' jo bhii mulaaqaat thii adhuurii thii
ki ek chehare ke piichhe hazaar chehare the
 
Top