vafaa ke bhes mein

vafaa ke bhes mein ko_ii raqiib-e-shahar bhii hai
hazar! ke shahar ke qaatil tabiib-e-shahar bhii hai

vahii sipaah-e-sitam Khemaazan hai chaaron taraf
jo mere baKht mein thaa ab nasiib-e-shahar bhii hai

udhar kii aag idhar bhii pahuNch na jaaye kahiin
havaa bhii tez hai jangal qariib-e-shahar bhii hai

ab us ke hijr mein rote hain us ke ghaayal bhii
Khabar na thii ke vo zaalim habiib-e-shahar bhii hai

ye raaz naaraa-e-mansuur hii se ham pe Khulaa
ke chuub-e-mimbar-e-masjid saliib-e-shahar bhii hai

ka.Dii hai jang ke ab ke muqaabile pe 'Faraz'
amiir-e-shahar bhii hai aur khatiib-e-shahar bhii hai
 
Top