Uss ki hasti main uttar janay ko jee chahta hai

~¤Akash¤~

Prime VIP
Uss ki hasti main uttar janay ko jee chahta hai

kaam mushkil sahi ker janay ko jee chahta hai

shok-e-awargi itna hai k ab ban k lahoo

uss ki rag rag say guzar janay ko jee chahta hai

patharon k yahi anjam hua kertay hain

toot k aaj bikhar janay ko jee chahta hai

takhta-e-daar pay hum mahv-e-tamasha duniya

munfarid sab say nazar aanay ko jee chahata hai

lab pay muskan ho aur dil main ho mehshar barpa

aisay haalaat main mur janay ko jee chahta hai

jis jaga ja k koi lot kay phir aata nahin

janay kion aaj udhar janay ko jee chahta hai

aaj tan man ko jalati hai hawa bhi asim

aaj matti main uttar janay ko jee chahta hai
 
Top