usi ne..... zakhm chupaane kaa..... hauslaa bhi diyaa.......

~¤Akash¤~

Prime VIP
kabhi...... jo raahat-e-jaan thaa........ use..... bhulaa bhi diyaa;
agarche...... dil ne ....humein........ taanaa-e-wafaa bhi diyaa.

nahin..... ki...... humsafaron ke liye...... bane deewaar;
jo.... burq-paa the.... unhe...... humne raastaa bhi diyaa.

magar........ khudaa ki...... sabhi bakhshishein anokhi hain;
wafaa ke saath ......humein...... yaar-e-bewafaa bhi diyaa.

main..... but banaa ......use dekhaa kiyaa.... to.... usne kahaa;
guzar chuki hai bahut raat....... ab...... bujhaa bhi diyaa.

FARRAAZ!..... jisne ....dilon ko........ udaasiyaan bakhsheen;
usi ne..... zakhm chupaane kaa..... hauslaa bhi diyaa...........

AHMAD FARAAZ
burq-paa=bijli ki tezi waalaa
 
Top