Usay kuch kehna chata hoon, per keh nahi pata...

~¤Akash¤~

Prime VIP

usay kuch kehna chata hoon, per keh nahi pata...
Izhar e khyal karna chata hoon per kar nahi pata

na janay ho gai hai ilfaz ki is qader qami kab say
iik humd likhna chahta hoon per likh nahi pata..

Jab apna dil tatoolta hoon to kuch nahi pata
koi khuaiish nahi pata koi hasrat nahi pata

woh kareem karam karta hai meray manganay sa pehlay
koi khuaaish karna chahoon to kar nahi pata

ilfaz k la mahdood aur an ginat zakhiray kam lagay hain
shayan e shan us k ilfaz chunana chahta hoon per chun nahi pata

apnay aamal dekhoon to kuch nahi pata
namazi nahi pata saadiqq nahi pata

us raheem ki rehmat dekhun to had nahi pata
ibtada nahi pata, intaha nahi pata

us aleen ,haqeen ,samad , aziz o jabar k liayy
naqi ik hamd likhna chahta hoon, per likh nahi pata

naqi
 
Top