us ne sukuut-e-shab mein

us ne sukuut-e-shab mein bhii apanaa payaam rakh diyaa
hijr kii raat baam par maah-e-tamaam rakh diyaa

aamad-e-dost kii naviid kuu-e-vafaa mein aam thii
main ne bhii ik chiraaG-saa dil sar-e-shaam rakh diyaa

dekho ye mere Khvaab the dekho ye mere zaKhm hain
main ne to sab hisaab-e-jaaN bar_sar-e-aam rakh diyaa

us ne nazar nazar mein hii aise bhale suKhan kahe
mai.n ne to us ke paa.No.n me.n saaraa kalaam rakh diyaa

shiddat-e-tishnagii mein bhii Gairat-e-maikashii rahii
us ne jo pher lii nazar main ne bhii jaam rakh diya

aur 'Faraz' chaahiiye kitanii muhabbaten tujhe
ke maaoN ne tere naam par bachchon ka naam rakh diyaa
 
Top