Un ko lagte hai meri aankh mein pyaare aansoo!!!!!

~¤Akash¤~

Prime VIP
Haye wo waqt-e-judaai ke tumhare aansoo
Gir ke daaman pe bane the jo sitaare aansoo

Laal-o-gauhar ke khazaane hai ye saare aansoo
Koi aankho se chura le na tumhare aansoo

Teri aankho mein agar ho to Sitaare aansoo
Meri aankho mein agar ho to Bechare aansoo

Inko "DOSTON" na kabhi aankh se girne dena
Un ko lagte hai meri aankh mein pyaare aansoo!!!!!
 
Top