Un gulaabo ko dekh kar muskura dena.

~¤Akash¤~

Prime VIP
Chand ki sheetal chandani me
Humare pyar ko yaad kar lena
Suraj ki kadi dhoop me
Humare hounslein ko yaad kar lena

Barsaat ki rhim zhim baarish me
Humare aansoo ko yaad kar lena
Phoolon ke bagiche me
Humari khushboo ko yaad kar lena

Jab tumahara dil udaas ho
Humari muskaan ko yaad kar lena
Jab sub saath chod de tera
Humari baahon ko yaad kar lena

Apne ghar ke bagiche me
Gulaab ke phool khila dena
Jab humari yaad sataye to
Un gulaabo ko dekh kar muskura dena.
 
Top