Tumne diya hai jo dard, usse chhipaun kaise

~¤Akash¤~

Prime VIP
Dil mein chhupa hai kitna dard, bataun kaise
Zindagi se ro-ro kar guzar rahi hai,
Hanskar tumhe dikhaun kaise
Suna hai zindagi chahat ka naam hai
Par ye tanha jevan tum bin, bitaun kaise
Tumhe shayad yakeen na ho
Par mere iss dil mein sirf tumhara hi naam hai
Par dil cheerkar tumhe dikhaun kaise
Maine to apni zindagi se bhi badhkar chaha hai tumhe
Par tumhi kaho binaa Mumtaaz ke Taj Mahal banaun kaise
Tumne diya hai jo dard, usse chhipaun kaise
 
Top