tumhein mujh se muhabbat hai

~¤Akash¤~

Prime VIP
Mohabbat
muhabbat ki tabiyat mein ajab ye bachpana qudrat ne rakkha hai
k ye jitni purani, jitni bhi mazboot ho jaye
esay taaeed-e-taza ki zaroorat phir bhi rehti hai
yaqeen ki aakhri hadoN tak dilon mein lehlahati ho !
nigahoN se tapakti ho, lahoo mein jagmagati ho !
hazaroN tarah k dil-kash haseeN haalay banati ho !
esay ezhaar k lafzoN ki haajat phir bhi rehti hai
muhabbat maangti hai yuun gawahi apnay honay ki
k jaisay tifl-e-sada shaam ko ek beej boye
aur shab mein baar'haa utthay
zameeN ko khod ker dekhay k poda ab kahaan tak hai
muhabbat ki tabiyat mein ajab takraar ki khoo hai
k ye iqraar k lafzon ko sunnay se nahi thakti
bichhernay ki ghari ho ya koi milnay ki saa-ut ho
esay bas aik hi dhun hai
kaho, mujh se muhabbat hai
kaho, mujh se muhabbat hai
tumhein mujh se muhabbat hai
samander se kahin gehri, sitaron se siwa roshan
pyaron ki tarah qaayem, hawaon ki tarah daayem
zameeN se aasmaaN tak jis qader achhay manazir hein
muhabbat k kanaaye hein, wafa k estyaray hein, hamaray hein
hamaray waastay ye chaandni raatein saNwerti hein, sunehra din nikalta hai
muhabbat jis taraf jaaye zamana saath chalta hai
kuchh aisee bay-sukooni hai wafa ki ser-zameenoN mein
jo ehl-e-muhabbat ko sada bay-chain rakhti hai
k jaisay phool mein khushboo, k jaisay haath mein paara, k jaisay shaam ka taara
muhabbat kernay waalon ki sahar raaton mein rehti hai
gumaaN k shaakh-choN mein aashyaN bunta hai ulfat ka
ye ain wasl mein bhi hijr k khadshoN mein rehti hai
muhabbat k musafir zindagi jab kaat chuktay hein
thakan ki kirchyaaN chuntay, wafa ki ajrakein pehnay
samay ki rehguzer ki aakhri serhad pe ruktay hein
to koi toot-ti saaNson ki dori thaam ker
dheeray se kehta hai
ye such hai na ...!
hamari zindagi ek doosray k naam likkhi thi !
dhundalka sa jo aaNkhon k qareeb-o-duur phaila hai
esi ka naam chahat hai
tumhein mujh se muhabbat thi
tumhein mujh se muhabbat hai
 
Top