Tumhare aisa karne se, usay kia farq prta ha

~¤Akash¤~

Prime VIP






Hawa bun kar bikharne se, usay kia farq parta hai

Mere jeene ya marne se, usay kia farq parta hai

usay to apni khushion se zara fursat nahi milti
Mere gham k ubharne se, usay kia farq parta hai

Wassi'' us shakhs ki yadon may tum rote raho lakin

Tumhare aisa karne se, usay kia farq prta ha
 
Top