Tum nazar se door ho kuch kho gaya hai.

Vishal.Sharma

Dard Bhara Dil
Tum nazar se door ho kuch kho gaya hai...
Ek Rog sa is zindagi ko ho gaya hai.....

Arth kuch rakhta nahi tum bin ye jeewan..
Phool chun kar koi kante isme bo gaya hai...

Ankhon se tapka nahi hai koi bhi ansu...
Mann hazaron baar lekin ro gaya hai....

Tumse milna itna dushwaar hua hai..
Kismat meri lag raha hai so gaya hai....

Sabhi chehre anjan lagne lage hai...
Shehar sara ajnabi sa ho gaya hai....

Aasman bhi hai sharike gum mera...
Aaj wo bhi baras k dhara ko dho gaya hai..

Tum nazar se door ho kuch kho gaya hai...
Ek Rog sa is zindagi ko ho gaya hai..........!!
 
Top