Tum nahi ho tu shaam hotay he

:rolleyes:Tum nahi ho tu shaam hotay he
Ake saaya sa sar jhukayay huvay
Sheher ki bay-charaagh galiyon main
Chupkay chupkay say nikal jaata hay
Haath main ik sharaab ki botel
(dil magar kuch tu behel jaata hay)

Jub chalay sard hava ka jhonka
Chaltay chaltay theher sa jaata hay
Apni aankhon ko neem-waa kar k
Haath uthata hay is tarha jaisay
Yak nafas, zulf uri ho koi…
Is ne dheeray say sanwara jaisay

Kabhi is ote main khambay k kareeb
Kabhi us chowk nazar aata hay
Larkharatay huvay qadmon k nishan
Is taraf bhe hain us taraf ko bhe
Jaanay kis simt gaya hay saya…
Koi jaanay tu bhala ku jaanay?
Rang-o-khushbu ki haseen dunya main
Kon saayay ko magar pehchanay?

Kitna pathar sa hay chehra is ka
Haan magar aankh kuch bheegi bheegi
Kitnay ujray huvay hain lub is k
Aankh jaisay kabhi barsi he nahi
Gum hay cigarette k dhuvain main jaisay
Zindagi ! saath ko tarsi he nahi

Khushk patay, ye hawain ye khazan
Teray aanay ki umeedon ka jahan
Shub k seenay pay ubhar aata hay
Or ye saaya bhe andheron ki tarha
Subah hotay he bikhar jata hay

Tum nahi ho tu kis qadar veeran
Har gali hum ko nazar aatee hay
Jaisay ba-waqt-e-naz’a aankhon main
(ba-waqt-e-naz'a = marnay ka waqt)
Maut, dheeray say theher jatee hay
 
Top