tujh se har lamha bichhudne ka dar to khatm hua......

~¤Akash¤~

Prime VIP
husn baazaar hua kya ki hunar khatm hua;
aaya palkon pe ..to ...aansoo ka safar khatm hua.
umr bhar tujh se bichhudne ki kasak hi na gayee;
kaun kahta hai ki ..mohabbat ka asar khatm hua.
nayee colony mein bachchon ki ziden le to gayeen;
baap daada ka banaaya hua ghar khatm hua.
jaa,hamesha ko mujhe chhod kar jaane waale!
tujh se har lamha bichhudne ka dar to khatm hua......
 
Top