tuje khone k darr se main sota nhi hoon main ab rota nhi hoo

~¤Akash¤~

Prime VIP
ay dost
tu yad kar muje
ya na kar
magar tu yaad kar aaj
uss raat k
uss pehr ko
k jab tu ne
kaha tha muj se
k tuje chahiye ik kona
bas ik kona mere dil ka
to tu yad kar
k main ne inkar kar diya tha
aur aise hi tere dil ko
waswason se bhr diya tha
magr
tu ye b yad kr k
main muskra kar
haath tera tham liya tha
or tu ne hole se mera
naam liya tha
or naraz ho kar tu ne
haath chura liya tha
aur poochi thi waja mere inkaar ki
mere iss beinteha pyaar ki
aur main uss waqt
itna hi keh paya tha
k main tere saath kisi ko
bardaasht kar sakta nhi
chahe wo dharkan ho meri
ya ho lahu ki rawani
main bardaasht kar nhi sakta
main dil tuje iss liye de nhi sakta
haan magar
ye ankhein hain meri
in mein bas jao
inn ke kone kone mein rach jao
to yaad kar
k uss pal tu hans raha tha
tere rukhsaar pe ansoon ka
kuch dair tak raks raha tha
phir ahista ahista
meri ankhon ko teri majodgi ki
aadat c ho gi thi
aur iss liye ab
tuje khone k darr se main sota nhi hoon
main ab rota nhi hoon
faris
 
Top