toofano se hume khud ko bachana na aata thaa...!!!

~¤Akash¤~

Prime VIP
tere pyar ne rulaya hume rona na aata thaa,
girke humne jana hume sambhlna na aata thaa....
...
tere pyar ke sahare banaya tha aashiyaa maine,
mujhay koi aashiyaa banana na aata thaa......
..
maloom hota jo anjaam-e-mohabat to na karte
tune sikhaya humko dil lagana na aata thaa.......
...
tu bata kya kami rahi meri mohabbat main,
kya mujhe wada karke bhulana na aata thaa.....
...
zamane nay khub lagaya mere zakhmo pe namak,
mujhay zakham khake chhupana na aata thaa.....
..
mere dard ka afsana ik mazak ban ke reh gaya,
haal-e-dil apna mujhe sunana na aata thaa......
..
is liye tanhai or andhre main jee raha hoon,
mujhay koi naya chiraag jalana na aata thaa.....
..
sapno ke saath bikhar gaya hai mera wajood bhi,
toofano se hume khud ko bachana na aata thaa...!!!
 
Top