to humein milti kyun hai bewafayi.

~¤Akash¤~

Prime VIP
jab hum karte hain dusaron se wafa,
to humein milti kyun hai bewafayi.

jab hum dete hain saath sabka,
to humein milti kyun hai tanhaayi.

jab dete hain hum sabko khushi,
to humein milta kyun hai gum.

jab dete hain hum hum sabke hothon par haansi,
to humein milti kyun hai ruswaayi.

jab karte hain hum sab par vishvaas,
to humara hi tutata kyun hai vishvaas.

jab karte hain hum yaad unko,
to humein milte kyun hain aansun.

jab dete hain hum sabko jawaab,
ti humein hi milte kyun nahi jawaab.

rah jaate kyun hain hum aur humare jazbaat bankar ek sawaal,
humein hi milte kyun nahi jawaab.
 
Top