teri yaad jab bhi aati hai...!!!

~¤Akash¤~

Prime VIP
Toot jaata hoon jab yaad karta hoon
bikhar jaata hoon jab bhi sochta hoon
...
zarra zarra mera jal ke shola ho jaata hai
rom rom mein tees si utthne lagti hai
dil bechaara chup chaap dekhta rehta hai
aur aankhein baadal ban jaati hain
...
mehsoos karta hoon kuchh armaanon ki
zindaa laashon ko jalaa dena
suntaa hoon unki cheekhon ko kaan bandd karke
bedard se dard ki bedard hasi
...
mazzakk udaane lagti hai
utthhaati hai ungali meri laachaari ki taraf
aur dhoondh kar sabse zakhmi rog
use dabaa dabaa kar poochhti hai
..
yaheen hai na dard...??? aur ye lab bhi bewafaa
apni tabassum ke aagosh mein khoye rehte hain
sard hawaa chheel kar badan ki parat ko
jaane kya talaash karti hai..
...
khurach khurach kar ek ek tamanna ko
uski har parat ko nikaal kar
usmein chhupe dard ko kheench kar masalti hai
teri yaad jab bhi aati hai...
..
bebass sa mehsoos kartaa hoon
bebass sa mehsoos kartaa hoon
teri yaad jab bhi aati hai...!!!
 
Top