Teri tarah tute yahan kuch khwaab baaqi hain!

~¤Akash¤~

Prime VIP
Kuch toot gaye hain kuch khawaab baaki hain
Maanjhi ki wafaaon mein kuch sharab baaki hain
Har sawaal apni jagah jyon ka tyon raha
Zubaan pe shikaayaton ke kuch jawaab baaki hain

Khali hua bahte behte yaad mein baihta saagar
Phir bhi nigaahon main kuch sailaab baaqi hain
Maaf kiya khoon-e-jigar apna kisi dosti ko
To usi dosti se kuch hisaab baaqi hain

Kisi ka aasmaan tarakkiyon ka ujala ban gaya
Kahin be-rukhi ke kuch mehtaab baaqi hain
Mar bhi nahin sakte ab to sukoon-e-zalim
Hasrate reh jayengi kuch hijaab baaqi hain

Kagaz ke nazaaron se mahak aayegi kaise
Haqeeqat ke guldaano main kuch gulaab baaqi hain
Sab ko samajh na 'Saki' tu yaar be wafa
Teri tarah tute yahan kuch khwaab baaqi hain!
 
Top