teri furqat ka jab ihsas jawan hota hai

Justpunjabi

Lets_rock
[FONT=times new roman, new york, times, serif]teri furqat ka jab ihsas jawan hota hai
mujh ko lamhoo pe bhi sadiyoon ka guman hota hai

dil mein har waqt raha karti hai un ki tasweer
itna khushbakht har aaina kaha hota hai

chashme purnam se gham e dil ka na kar andaza
zoor tufaan ka sahil pe kaha hota hai

dil ki har baat kaheen lafzoon mein bayaan hoti hai
har fasana kaheen mamnoon e bayaan hota hai

jam uthane ka saleeqa bhi nahi hai jin ko
bas unheen par karam e peer e mughaan hota hai

kya hua phooloon ki aankhoon mein agar hai aansu
tabaa e nazuk pe tabassum bhi giraan hota hai

dostoon ne wo karam mujh pe kiyee hain ki Naseem
apne sayee pe bhi dushmaan ka gumaan hota hai
[/FONT]
 
Top