tere mere beech zamana padta hai

~¤Akash¤~

Prime VIP


tere mere beech zamana padta hai

dil ko kitni baar batana padta hai,

thehar gayi hai baat muqadder par aa kar,

khud ko yeh aksar samjhana padta hai,

sochon ko kab qaid koi kar paaya hai,

lekin khud ko toh samjhana padta hai,

rasta ho dushwaar ya raahi anjaane,

iss jiwan ka saath nibhana padta hai,

khamoshi ke dasne ka darr ho jis dam,

aise mein khud shor machana padta hai,

paas mere toh sirf tumhari yaadein hain,

yaadon se dil ko behlana padta hai..!!
 
Top