tanhai main aksar khush rehta hun main ab..' jab bhi roya tu

~¤Akash¤~

Prime VIP
khud ko teri yaadon se behlakar roya,
main rait par teri tasveer banakar roya....
...
dunia ki rounko main jab na behla ye dil,
kabhi khudko kabhi tujhe khilona banakar roya....
..
ajeeb fitrat dekhi maine aye insaan teri,
kabhi apni kabhi dooje ki khushi jalakar roya.....
...
had se badhkar jab sataya gham-e-daur ne,
raat bhar teri yaadon ko seene se lagakar roya.....
...
sawan ki bheegi bheegi bochharon main bhi,
sookhi palkon pe ashko ko sajakar roya......
...
barson saath chalte rahe hum ajnabi bankar,
aksar wo mere ghar main uske ghar jakar roya.....
...
phoolon ki aarzu main mile zakhm kanton se,
har bahar main un zakhmo ko sehlakar roya.......
...
tanhai main aksar khush rehta hun main ab..'
jab bhi roya tujhe yaad karke roya...!!!
 
Top