tanhai mai mera saath nibha jatey hain ye aansu.......

~¤Akash¤~

Prime VIP
hanstey huye aankhon mai kyun aa jatey hain ye aansu
yun khushi ko adhura sa bana jatey hain ye aansu
dard itna saha khali ho gaya samander ashkon ka
jane kahan se aankhon mai aa jatey hai ye aansu
khush hoon main koi shikwa zamane se na takdeer se
meri is baat ko jhootha kyun bana jatey hain ye aansu
shayad khabar hai inko bhi kis kadar tanha hoon main
tanhai mai mera saath nibha jatey hain ye aansu.......
 
Top