tanhai

#m@nn#

The He4rt H4ck3r
Mere baad kidhar jayegi tanhai,
Main jo mara to mar jayegi tanhai,


Main jab ro ro ke dariya ban jaunga,
Us din par utar jayegi tanhai,


Tanhai ko ghar se rukhsat kar to doon,
Socho kis ke ghar jayegi tanhai,


Virana hoon Abaadi se aaya hoon,
Dekhegi to Dar jaayegi tanhai,


Yoon aao ki paon ki bhi awaaz na ho,
Shor hua to mar jayegi tanhai...........


unknown
 
Top