tanhaayi mein mera saath nibha jate hai aansoo

~¤Akash¤~

Prime VIP
hanste hue aankhon mein kyu aa jate hai aansoo
kyun khushi ko adhura sa bana jate hai aansoo
dard itna hai saha, ho gaya samunder ashqon ka
jane kaha se fir bhi aankhon mein bhar jate hai aansoo
khush hoon main koi shikwa zamane se na taqdeer se
meri iss baat ko jhoota kar jate hai aansoo
shayad khabar hai unko bhi kis qadar tanha hoon main
tanhaayi mein mera saath nibha jate hai aansoo
 
Top