~¤Akash¤~
Prime VIP
Door se aaye thhey saaqi sun ke maikhaane ko hum
bas taraste hi chale afsos paimaane ko hum
may bhi hai meena bhi hai saagar bhi hai saaqi nahi'n
dil mein aata hai lagaa dein aag maikhaane ko hum
hum ko fasaana tha qafaz mein kya gila sayyaad ka
bas taraste hi rahe hain aab aur daane ko hum
baag mein lagta nahi'n sehra mein ghabraata hai dil
ab kahaan le jaake baithein aise deewane ko hum
kya huee taqseer hum se tu bata de ae
taaki shaadi marg samajhein aise mar jaane ko hum.