Surkh lahoo ke khuchh beposhida sachh ..

satvir62

Member
Surkh lahoo ke khuchh beposhida sachh
phir se pichhlee gali se nikalne ki koshish ki thi meine is baar bhi, dost mere
phir is waqfe se mulakat hui to kuchh ehsaas ayaa jinda hone ka mujhko...

kyun tere gehre rang ki garmaish nahi sookh saki ab tak,
Har subaah ki pahsani pe char ke dekh raha hai mujko yhe, bahut sharamdar ho kar
roz Behzuban sham ke sawalon ko sunta hoon, is rang mein dubey huay, na chahte huay bhi
Koi harkat ragon mein hai ke nahi, fark parta nahi iske wajood ko,
mere akshon mein dekai na diya is bar bhi, yehee shikayat hai isse apne aap se
Issey mazhab ya kaum ke jazbe ki zaroorat nahi hai mukamal sans lene ke liye
Kisi ajnabi shaksh ki muskarahat ka sabab agar ban paye ,
to shayad kuchh lamhe aur jood janye is jindagi mein meri,
Phir bhi ye lawaris lash jo ek kushk lachari ke kafan mein poshida hai pooch rahi hai mujko
Nahi chahiye kisi ki mojoodgi ka ehsaas iske dafan hone ke waqt
us kaumi zid ka ek jazba mil sake to chain se so sakega woh phir se is pakeezah zameen ke neeche
woh surkh chheentay tumahari rooh par parhein thi ya nahi, us bar Ye fark parta nahi tha ab tak
uus zakm ko phir kured dene ki zaroorat hai is bar, yeh teh hai, tum faisala karo ya na karo , dost mere


" ab to rukhte nahi rukhta ye nagoda kalam mera,
jab dadkanen hi hath chalaien to main kya karoon"
 
Top