sunaa dete to kya jataaa

~¤Akash¤~

Prime VIP
Jaan de di "Main" ne
tumhari hi mohabbat mein
ik chiraag tum mazaar par
jalaa dete to kya jaata...?

Do ashq meri yaad mein
bahaa dete to kya jaata...?
chaar phool meri laash par
charhaa dete to kya jaata...?

Aaye ho meri mayyat par
naqaab daal kar sanam
murdon ko chaand ka tukda
dikhaa dete to kya jaata...?


Poochte hain tumse log
kiska ye janaza hai ?
marne waala kaun tha ?
bataa dete to kya jaata...?

Keh rahi hai sab kahani
tere haathon ki heena
kisi aur din ye kissa
sunaa dete to kya jataaa
 
Top