sun to sahii jahaa.N me.n hai teraa fasaanaa kyaa

sun to sahii jahaa.N me.n hai teraa fasaanaa kyaa
kahatii hai tujh se Khalq-e-Khudaa Gaibaanaa kyaa

ziinaa sabaa kaa Dhuu.NDhatii hai apanii musht-e-Khaak
baam-e-baland yaar kaa hai aastaanaa kyaa

aatii hai kis tarah se merii kabz-e-ruuh ko
dekhuu.N to maut Dhuu.NDh rahii hai bahaanaa kyaa

betaab hai kamaal hamaaraa dil-e-aziim
mahamaa.N saaraay-e-jism kaa hogaa ravanaa kyaa

 
Top