subuu ko daur mein laao bahaar ke din hain

subuu ko daur mein laao bahaar ke din hain
hamen sharaab pilaao bahaar ke din hain

ye kaam aa_iin-e-ibaadat hai mausam-e-gul mein
hamen gale se lagao bahaar ke din hain

Thahar Thahar ke na baraso umaD paDo yak dam
sitam_garii se ghaTaao bahaar ke din hain

shikastaa-e-taubaa kaa kab aisaa aayegaa mausam
"Adam" ko gher ke laao bahaar ke din hain
 
Top