~¤Akash¤~
Prime VIP
sadma to hai mujhe bhi ki tujhse judaa hoon main
lekin ye sochta hoon ki ab tera kya hoon main
bikhra para hai tere hi ghar main tera wajood
bekaar mehfilon main tujhe dhoondta hoon main
main khudkashi ke jurm ka karta hoon aitraaf
apne badan ki qabr main kabse gadaa hoon main
kis-kiska naam loon zabaan par ki tere saath
har roz ek shakhs naya dekhta hoon main
na jaane kis adaa se liya tune mera naam
duniya samajh rahi hai ke sab kuch tera hoon main
le mere tajurbon se sabak ae mere raqeeb
do chaar saal umr main tujhse bada hoon main
jaagaa hua zameer vo aaina hai "Qateel"
sone se pehle roz jise dekhtaa hoon main