~¤Akash¤~
Prime VIP
hum tere shahar mein aaye hain musaafir ki tarah
sirf ek baar mulaaqat ka mauqa de de
meri manzil hai kahaan mera thikaana hai kahaan
subah tak tujh se bichhadkar mujhe jaana hai kahaan
sochne ke liye ek raat ka mauqa de de
bhoolna tha to ye iqraar kiya hi kyun tha
bewafa tu ne mujhe pyaar kiya hi kyun tha
sirf do-chaar sawalaat ka mauqa de de