SILwaton ko chand ki chu kar aane ki tammana hui,

~¤Akash¤~

Prime VIP
SILwaton ko chand ki chu kar aane ki tammana hui,
aaj phir unkii bahoon mein pighal jaane ki tammanna hui,

karti hai bahut nakhre meri hasrtein aajkal,
unke saare nakhre aaj dilo jaan se uthane ki tammanna hui,

keh rahi hai kismat ki khud ko dhoka dekar toh dekh,
aaj uski kahi baat ko ajmaane ki tammanna hui,

veeran sa rehane laga hai guzara waqt meri khushiyan dekhkar,
aaj us waqt ki hasseen ke liye apni khushi lutane ki tammannna hui,

jo likha tha kabhi naam ungaliyon se saagar kinare ret pe maine,
aaj usi naam ko apne haathon se mitane ki tammanna hui,

hansate hansate dil mein dard hone laga hai mujhe,
aaj chand aansoo palkon se girane ki tammanna hui,

hai khamoshi bahut is kali aandheri raat ke sitaron mein,
kuch sunapan iske seene se churane ki tammaanna hui,

ek masoom sa shaks hai jisne dil toda hai mera,
us insaan se phir dil lagane ki tammannna hui,

yun toh saare khawab toote hi aaye hai aankhon mein,
kuch toote hue sapne par in nighaan ko phir pirone ki tammanna hui,

yun toh is seene mein dard ka ek aashiyana hai,
ek naya zakhm par phir dil se lagane ki tammanna hui.
 
Top