Shaoor Apna Kabhi Baidar na ho paya

~¤Akash¤~

Prime VIP
Shaoor Apna Kabhi Baidar na ho paya
Junoon hum se kabhi baizaar na ho paya

Husn apna bhi kisi yusuf se kam na tha.
Ik wo tha k kabhi beqarar na ho paya

Us ko talash to shayad baad e saba ki thi
Dil apna sehra tha, kabhi gulzar na ho paya

Yun to Mudasser ne ehtiyaat buhat ki..
Ishq phir Ishq tha, kabhi raaz na ho paya.






writer
 
Top