Shaed kay ishqe yaarr ki zarrorat nahin rahi

~¤Akash¤~

Prime VIP
Tum hum say yah kehtay ho, mohabbat nahin rahi
tum hi badal gayey ya woh ulfat nahin rahi

har baat pay tana har andaz mein tashheh
kiyon saaf nahin kehtay mohabbat nahin rahi

gheron pay karam, apnoo pay sitam kartay hu
phir shaan say kehtay hu, qurbat nahin rahi

sehra mein tapish mein jab tum nay hamein choora
is husn ki baazar mein woo qeemat nahin rahi

mana kay hum say bhi buhat ghaltiyan hoyen
shaed kay darguzar ki tumhain aadat nahin rahi

manzar tu wahi hain halat hain badlay
shaed kay ishqe yaarr ki zarrorat nahin rahi
 
Top