Sangati ka fal

Ram nath tha pyara ladka
ghar me bada dulara ladka
roj bag ko jata tha vah
man apna bahlata tha vah
tha gulab ka ped kahi par
phool khile the usme sundar
vahi ak din usne jakar
sungha dhela ak utha kar
mahak raha tha dhela aisa
taja phool mahakta jaisa
usko hua achambha bhari
ghar ko chala chhod phoolwari
baba se jab puchha jaka
kaha unhone tab samjha kar
tumne ise jaha par paya
hogi vaha ped ki chhaya
phool vaha par khilte honge
iske upar girte honge
pai jo suvas nirmal hai
yah achchhi sangati ka fal hai
 
Top