Sahil-o-bahar ke aaiin kabhi badalte nah

Pardeep

๑۩۩๑┼●ℛŐŶ
SAHIL-O-BAHAR KE AAIIN KABHI BADALTE NAHI,
BAHR-E-TUFAAN ME SAFIINE KABHI CHALTE NAHI,
ANDHERO ME TALATUM HAVAO KA KHAROSH SUNA NAHI KARTE,
JO DIN GUZAR JAYE UNHE GINA NAHI KARTE

BAN GYA HU BEHAR ME BENAAM SAHIL SA,
JISKI KHUD KI NA KOI BHI GEHRAAYI HAI,
QURBAAN JAYE NIGAH-E-YAR KI MASUM ADA PE,
JISNE "aman" KI JIST NAZR-E-AATISH KRAYI HAI...

TALKHI-E-JIST NE KIYA HAI AISA MIZAJ MERA,
HALAK SE BHI CHA KAR NA KOI BAAT AAYI HAI,
BAS AAS HAI UNSE EK MULAAKAAT KI,
VARNA MOUT TO KAB KI MEHMAAN BANKE AAYI HAI

AANKHEY BHI SULAGTI REHTI HAI BIRHA MEIN,
JAKHMO NE NAASUR BANKE DARAD BARAYI HAI,
MALAAL ISI BAAT KA HAI MERE DIL KO,
KYU MERE HIJAAB KI BAAT SABKE SAAMNE AAYI HAI..

HAR RISHTA LAG RAHA HAI TUTTA TERE SE,
MAGAR DIL ME AB BHI AAS KI PARCHAYI HAI,
KABHI TO MILENGE JALVE DEKHNE KO TUMHARE,
ISILIYE TO MOUT SE BHI SHARAT LAGAAYI HAI...​
 
Top