"safar ki hadd hai wahan tak ki kuch nishaan rahe"

~¤Akash¤~

Prime VIP
"safar ki hadd hai wahan tak ki kuch nishaan rahe"
"chale chalo ke jahan tak ye aasmaan rahe"
"ye kya uthaye kadam aur aa gai manzil"
"mazaa to tab hai ke pairon main kuch thkaan rahe"
"wo shaks mujh ko koi jaal saaz lagta hai'
"tum us ko dost samajhte ho [phir bhi dhyaan rahe"
"ab ape beech marasim nahi adawat hai"
"magar ye baat hamare hi darmiyaan rahe"
"mujhe zamin ki gahraiyin ne daab liya"
"main chahta tha mere ser pe aasmaan rahe"
"wo ek swaal hai, phir uska saamna hoga"
"dua karo salamat meri zubaan rahe"
 
Top