Saaye ki talash mein khud ko kho na dun kahin main...!!!

~¤Akash¤~

Prime VIP
Ansooun ki barish mein bheeg na jaoun kahin main
Tere anay se pehle mar na jaoun kahin main
...
Humsafar aa bhi jao ke baat nahi mere bus ki
Reh jaoun na tanha bin tumhare kahin main
..
Tujhko kia khabar kaate hain kitne rat-jage main ne
Khuli aankhon se dunia se rukhsat ho na jaoun kahin main
..
Baad muddat ke aj samjha hun yeh aarzoo
Saaye ki talash mein khud ko kho na dun kahin main...!!!
 
Top