saamaan-e-jaraahat dekha

~¤Akash¤~

Prime VIP
maine ban jaate
adaavat to ibaadat
dekhaa
roz duniya ko badalte
huwe soorat dekhaa nauhaa-e-muflisee
haNgaamaa-e-daulat
dekha
sab ko karte bayaaN
kis raNg se haalat
dekhaa raazdaaN ko bhi kabhi
bante muddayee
dekhaa
aur mehfil ko bhi ho
jaate adaalat dekhaa gar n hujjat se bane
kaam to kar leiN
minnat
apnee karte rawaa har
haal meiN haajat
dekhaa humse chhooTaa
guroor-e-ilm ki jab
aalim ko
dar pe jaahil ke kiye
sakht mashakkat
dekhaa padh ke akhbaar jo
chunte haiN khuda roz
nayaa
unko karte huwe
eemaaN ki himaayat
dekhaa jo mere qatl ka insaaf
the karne waale
mere qaatil ki unheiN
dete zamaanat dekhaa kaam karnaa ho
bhalaa kar le magar
shor machaa
jo khumoshee se
huwa duniyaa ne galat
dekhaa koyi shohrat to koyi
aql to koyi paikar
khud meiN sab ne koyi
saamaan-e-tijaarat
dekhaa woh meree khastage
se mutmayin hi the
shaayad
dost jab mujh se mile
unko khush bahaut
dekhaa teraa shikwaa bhi
shokh meraa
bahaanaa raNgeeN
bas isee uzr meiN ulfat
ko salaamat dekhaa meree har baat pe yuN
teraa bigarhnaa har
din
maine ismeiN bhi
ishaaraa-e-lagaavat
dekhaa teree tehreer ke
daaghoN ne kiya haal
bayaaN
tere ashkoN meiN
dhulaa khairiyat ka
khat dekha ab main samjha kyUn
teree sharmsaar thee
aaNkheiN
maine in meiN n teraa
tarq-e-mohabbat
dekhaa zarraa zakhmoN pe marham karne
pukaaraa jisko
uske kyuN haath meiN
saamaan-e-jaraahat
dekha
 
Top