Saada lafzon mai koi baat bari keh dena

~¤Akash¤~

Prime VIP
Aik hangam sa mehfil mai bapa lagta hai

chir gaya phir say yahan zikr tera lagta hai


khoobro aur bhi dekhain hain zamanay mai magar

tera chehra sabhi chehron say juda lagta hai


zard neela ya hura surkh gulabi ya safaid

meray mehboob pay hur rang bhala lagta hai


mai nay jaltay huaye parwanay ka jazba dekha

josh apna mujhay is say bhi siwa lagta hai


shair mairay tumhain badnaam na kar jayen kahin

bas mujhay dar inhi baton say zara lagta hai


sir patakhta hai kinaron say jo darya-e-furat

maaf ab tak na hui is ki khata lagta hai


ishq aur shirk mai kuch fasla rakhna yaro

ishq ho jaye to banda bhi khuda lagta hai


saada lafzon mai koi baat bari keh dena

mujhay "asim" ka yae andaz naya lagta hai
 
Top